Urdu Shayari


This slideshow requires JavaScript.

 

Talkhiyaan mohabbaton mein palti hain,
Kuch mohabbat mein faasla rakhna..

Roshni meri bohat door tak haye gi,
Shart yeh hai ke saleekey se jalao mujhko..

Kis se mehroomi e qismat ki shikayat kijiye,
Hum ne chaha tha ke mar jayn so wo bhi na hua..

Mohabbat kese hoti hai, Mohabbat kis ko kehtey hain,
Tera majboor kar dena, mera majboor ho jaana..

Jalaal asaan nahin abaad ghar karna mohabbat ka,
Yeh un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain..

Abhi na chairr mohabbbat ke geet, mere yaar,
Abhi zindagi ka mahol saazgaar nahin..

Chamakte Chand Ko Toota Howa Tara Bana Dala,
Meri Aawargi Ne Mujh Ko Aawara Bana Dala,

Yahan Par Hain Hazaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain,
Mujhe Is Shehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Dala,

Main Is Duniya Ko Aksar Dekh Kar Heraan Hota Hoon,
Na Mujh Se Ban Saka Chota Sa Ghar Din Raat Rota Hoon,

Khuda Tune Kaise Yeh Jahan Sara Bana Dala,
Mere Malik Mera Dil Kyoun Tarapta Hai, Sulagta hai,

Teri Marzi Teri Marzi Pe Kiska Zor Chalta Hai,
Kisi Ko Gul, Kisi Ko Tune Angara Bana Dala….

Voh Aya Tha Mehfil Main Mgar Shoq Se Naheen,
Voh Betha Tha Pas Mere Mgr Dil Se Naheen,

Kaun Kehta Hain voh Pyar Naheen Karta,
Karta To Hain Magr Afsos mujhse Se Naheen..

Be-Khudi Be-Sabab Nahi’n ‘Ghalib’,
Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai…

Tum do Faraib, aur Mein Samjhun pyar Usay,
Ab itna bhi Saadgi ka, Zmana nahi raha..

Kaam jitna tha mohabbat ka, mohabbat ne kiya,
Jitna hona tha zamaney ae, zamaney se hua..

Mamool ab to yeh har roz ka hai,
Tujhe sochna aur sogwaar* ho lena..

 

De diya us ne mohabbat se mohabbat ka jawab,

Haatma ho gya ab ishq ke fasaaney ka..

Leave a comment